Ghazals in urdu


 sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ 


so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ 


sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se 


so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ 


sunā hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī 


so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ 


sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf 


so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ 


sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ 


ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ 


sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai 


sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ 


sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ 


sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ 


sunā hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ 


sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ 


sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us kī 


sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ 


sunā hai us kī siyah-chashmagī qayāmat hai 


so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ 


sunā hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ 


so ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ 


sunā hai aa.ina timsāl hai jabīñ us kī 


jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte haiñ 


sunā hai jab se hamā.il haiñ us kī gardan meñ 


mizāj aur hī laal o guhar ke dekhte haiñ 


sunā hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ meñ 


palañg zāviye us kī kamar ke dekhte haiñ 


sunā hai us ke badan kī tarāsh aisī hai 


ki phuul apnī qabā.eñ katar ke dekhte haiñ 


vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murād nahīñ 


ki us shajar pe shagūfe samar ke dekhte haiñ 


bas ik nigāh se luTtā hai qāfila dil kā 


so rah-ravān-e-tamannā bhī Dar ke dekhte haiñ 


sunā hai us ke shabistāñ se muttasil hai bahisht 


makīñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte haiñ 


ruke to gardisheñ us kā tavāf kartī haiñ 


chale to us ko zamāne Thahar ke dekhte haiñ 


kise nasīb ki be-pairahan use dekhe 


kabhī kabhī dar o dīvār ghar ke dekhte haiñ 


kahāniyāñ hī sahī sab mubālġhe hī sahī 


agar vo ḳhvāb hai tābīr kar ke dekhte haiñ 


ab us ke shahr meñ Thahreñ ki kuuch kar jaa.eñ 


'farāz' aao sitāre safar ke dekhte haiñ

No comments:

Post a Comment

About Poets History

Broken Heart 💔 Peotry